Showing posts with label Sher. Show all posts
Showing posts with label Sher. Show all posts

Tuesday, November 19, 2019

Mom ki gudiya


Mom ki gudiya mein jaan utar aati hai
Meri bachhi jab usse seene se lagaati hai  
Bass chalta to gudiya phir se jaag ke so jaati 
Wo jitne pyaar se usse loriyaan sunaati hai

Usska jeewan usski paribhasha se chalta hai
Usska din usske sone jaagne se badalta hai
Chaand aata hai balcony mein usske liye 
Sooraj usske maathe ki bindi se jalta hai 

Kabootar ko gutar goo koyal ko raag sikhati hai 
Qabaad ke chaar samaan jod ke ghar banaati hai
Ussko kya sikhaayein koi rangbaazi ki kala
Geeli ungaliyan pher ke wo indradhanush banati hai


Mom ki gudiya mein jaan utar aati hai
Meri bachhi jab usse seene se lagaati hai  


Achha lage to comment zaroor karein!

Friday, September 6, 2019

Khushgumaani...

Usse ye gumaan hai ke wo girte girte sambhal leta hai
Naye libaas pehna kar mujhe badal leta hai 

Wo jaanta hai mein badnaam hun sheher mein
Fir bhi mujhe mehfil mein le jaa ke behel leta hai 

Mujhse kehta hai kisi ko moo kaise dikhaoge... 
Jo kahiin jaane se pehle mujhse shakal leta hai 

Wo kya paega aur kya khoega kisi ko
Jo andhere mein parchhayi chhod ke nikal leta hai 

Agar Achha lage to comment zaroor karein!

Teri berukhi...

Aur kya umeed thi tumhe dil-e-bezaar se...
Wo ek sheeshi aur le aaya bazaar se...

Meri nigaah mein bhi dhundhte hain tasweer apni...
Badee mohabbat hai unhe apne rukhsaar se...

Shauk rakhne wale mehfil mein daad diya karte hain
Samajhne wale dekha karte hain nam absaar se

Goya khuda soorat ke saath thodi samajh deta
Mohabbat ho jaati unnko mere kisi ashaar se

Kehte nahi par kabhi kabhi umeed rakhte hain
Thoda maye se thoda saaqi se thoda ghumgusaar se


Agar achha lage to comment zaroor karein!

Usska naam!

Khudaa maaf kare mujhe bhi meri zaat ko bhi...
Ashiqon ko jachta nahi zehen mein kisi aur ka naam

Tere aane se mujhe ulfat ka ehsaas hua
Warna ishq ko mein samajhta tha kisi aur ka kaam

Dariyaa dili dekho mayekade ki masti mein
Kisi ki nigaah mein nahi rehta kisi aur ka jaam

Insaan ko shauk hai sarhadein qayam karne ka
Yahan mera raam wahan kisi aur ka raam

Kya mila najoomi bann ke tujhko ujjwal
Haseena haath thama ke poochhe kisi aur ka naam


Agar achha lage to comment zaroor karein!

Agle baras...

Ab tak bohot kuchh khoya hai, paaya hai
Samay ne apne hisaab se chalaya hai

Khoob jiya saath sabke aur akele bhi
Dekhi khushiyaan rishton ki aur jhamele bhi

Kayi baar khud hi khud ko aazmaaya
Bohot kuchh zindagi ne bhi sikhaya  

Fir ek saal beet gaya zindagi ki udherbun mein
Haste gaate apni purani tarannum mein

Magar iss saal ek nayi dhun se mulaaqaat hui
Naye suron se haseen din raat hui

Dekhein tanhaayi ki aadatein kab chhut paati hai
Nayi zindagi kya naye rang dikhlaati hai

Kisko pataa aage kya hoga kiska haal
Bass beet jaaye kisi tarah ye aur saal

Suna hai agle baras kuchh aur baat hogi
Suna hai agle baras wo bhi saath hogi...


Agar acchhi lage to comment zaroor karein!

Ye dooriyaan

Chaand pe langar daal ke teri chhat pe aaya hota
Jo ghar apna is qadar door na basaaya hota

Chittiyaan likh kar kabootar se bhijwaya hota
Jo kismet ki girri mein dhaga kamm na paaya hota

Ban ke baadal tujhe ji bhar bhigaya hota
Jo hawa na chalti aur tere ghar pe chhaya hota

Wo seep beh ke tere kadamo tak aaya hota
Waqt ne moti gar mere seene mein chhupaya hota

Meri dhadkanon mein apni aahat ko paya hota
Kuchh der aur jo mujhe seene se lagaya hota


Agar acchhi lage to comment zaroor karein!

Aap se

 दिल की धड़कन का ठहरना और बढ़ना आपसे मेरी उल्फत का उतरना और चढ़ना आप से  मन ही मन में जाने कब कब बातें आपसे हुई हो के अनबन रूठ जाना फिर सुलझ...

Other Popular Posts