Sunday, January 19, 2020

Neend (2010)

Kal raat fir neend sirhaane tak aakar laut gayi

Aadhi meechi aadhi khuli aankho mein
Adhure ajeeb se khwaab aate jaate rahe…
Ghadi ki awaaz par thithakti saanson mein…
Thodi bechaini aur badhaate rahe…

Kuchh jaane pehchane chehre thhe
Kuchh naye anjaane bante bigadte rahe
Yaad teri bhi thi aur kuchh anjaan saaye thhe
Raat bhar wo saaye hasaate rulaate rahe

Kuchh halaat andekhe hokar bhi apne lagate thhe
Kuchh dhundhle chehre ajeeb si baatein banate rahe
Wo shayad kuchh kehna kuchh karwaana chahte thhe
Kabhi iss aur kabhi uss aur daudaate rahe

Aankh khuli to dekha ke taqiya thoda nam tha
Aaj din bhar ye kaisee khayalon ki sazish ho gayi hai
Kuchh naya nahi hai fir bhi ajeeb lagta tha
Wo bass ek raat thi ya zindagi hi aisi ho gayi hai?

Lagta hai kal fir need sirhaane tak aakar laut gayi…

No comments:

Badala nahi hoon main

मैं, वो मैं, ना रहा, ना सही, पर बदला नहीं हूं मैं  जानेमन तू मेरा न सही  पर तुमसा नहीं हूं मैं  तेरी बात मेरी याद हो गई  पर गुजरा नहीं हूं म...

Other Popular Posts