Monday, October 30, 2023

Kamm hi hoti hai


Labon ki baat hai keh do, nigahon se mat samjhaao
Dar se laut jaane walon ki khabar kamm hi hoti hai

Baad mein mat poochhna ki phool kahaan rakhne hain
Har roz jalne walon ki Qabar kamm hi hoti hai

Pyaar karne walon ko nahi araam shab-o-roz
Aag pe chalne walon ko sabar kamm hi hoti hai

Aashiq kahan kiya karte hain maut ki bhi izzat...
Baar baar aane walon ki Kadar kamm hi hoti hai...

Jirah


Ya to rukhsat mein tabeez koi pehnaaya na karo
Ya to bandh lo mujhe aanchal se sadaa ke liye

Khatm kar do ke mein tayyar hun kaza ke liye
Aise bazaar mein na chhor do sazaa ke liye

Irada kar liya hai to qatl kar do jirah na karo
Meri khuddari kya kamm hai wajaah ke liye

Yaan soorat ke saath seerat ke bhi hain khareeddaar
Kiski Keemat munasib hai tumhari jazaa ke liye

Shauk bade hain tumhare tasweer se kya hoga
Sar hi rakh lo kaam aayega azaa ke liye

Wo nigah se nahi nikla ab tak


ये कैसा पूछ रहे हो सवाल, ये क्या बात करते हो?
वो निगाह से नहीं निकला अब तक
तुम दिल की बात करते हो


आज भी लगता है मेरे सामने है वो मंज़र गुजरता हुआ
मैं आज भी राह ढूंढता हूं तुम मंजिल की बात करते हो।


हर सांस उधार लगती है तेरे बिछड़ जाने के बाद
एक हो तो बताएं जो तुम मुश्किल की बात करते हो


कितने अंजान हैं दैर–ओ–हरम में लोग, चलो मयकदा ढूंढे।
या कोई जगह बता दो जहां लोग दिल की बात करते हो


भूल न जाऊंगा चार के बीच मैं उनकी बातें
मैं तन्हाई मांगता हूं तुम महफिल की बात करते हो


धुंध बहुत है कोई शख्स नजर नहीं आता ठीक से
चेहरे नजर नहीं आते ठीक से तुम जिल (साये) की बात करते हो


बोहोत सुकून है यादों की स्याह शुआओं में
मुझे माज़ी में रहने दो कहां मुस्तकबिल की बात करते हो

Badala nahi hoon main

मैं, वो मैं, ना रहा, ना सही, पर बदला नहीं हूं मैं  जानेमन तू मेरा न सही  पर तुमसा नहीं हूं मैं  तेरी बात मेरी याद हो गई  पर गुजरा नहीं हूं म...

Other Popular Posts