Tuesday, August 11, 2020

Naya saal... (2010)

Duniya ke itihaas mein ek aur kadi jud jayegi,
Insaan nahi badlega aur tareeq badal jayegi…

Yahaan koi aashiq thaam lega paimaane ko,
Wahaan fir kisi sitamgar ki doli guzar jayegi…

Waqt hota to karte bhi shikayat tumse,
Lagta hai ye gila bhi chita ke saath jal jayegi…

Khuda ne teri kudrat hi aisi banayi hai,
Dhuaa wahan uthega teri hasti jidhar jayegi…

Dard hi to apna hai isse bhulaana kyun hai,
Yaad phoolon ki tarah rakhoge to zindagi mehak jayegi…

Talaash

Raah khud hi chun leti hai musafir apna…
Yuhi taa-umra raah par koi khada nahi hota

Bewafai de jaati hai muflisi aur tanhai
Ashiq jalta rehta hai par dhuaan nahi hota

Yadein bhi ban jaati hain khud saaki…
Maikade mein koi kabhi tanha nahi hota.

Zamaane mein hi mil jaati hai khudayi
Khuda ho kar bhi jab khuda nahi hota

Yaari hoti hai zamaane se juda yaroon
Wo door ho kar bhi juda nahi hota

Jo Dairo haram me aur maikade me hai ujjwal
Bashar taaumra khojta hai usse pata nahi hota

Dua mile... (2013)

Kya wo duniya ho jo suron ko saaz mile,
mehfil-e-awaaz-e-dil ho aur galon ko naaz mile…
Khud hi ki zid se kar liya hai khud ko dafan
Kabhi to aapki nazar ho aur hum ko saans mile

Ek wo jinse milke lagta hai ek aur baar mile
Aur ek wo jo roz milta hai mile na mile
Kabhi to besabab utthe dua mein haath                     besabab=without reason
Unhone khwaab bhi dekhe to unke hisaab mile

Bade hi josh se baitha hun aaj ibaadat mein
Mujhe to tu na mil saka tujhe to duaa mile
Bhatakte nahi kabhi mayeqada dhoondne wale          mayeqada=bar
Jinhe khuda ki ho talash unhe to khuda mile

Kya ho gar furqat ke sataaye ko ahbaab mile              ahbaab=friends
Jeene ka bhoole jo maqsad unhe asbaab mile              asbaab=reasons
Dil mile ya mere ashaar se kisi ko qaraar mile
Kisi sataaye huye ushaaq ko uska sawaab mile

Muntazir ki dua (2011)

Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de,
Khushk gulistaan mein kabhi bahaar bhi de…

Khwaishein panapti rehti hai musalsal zehen mein
Agar aarzoo deta hai tu to deedaar bhi de
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…


Har sheh pe jal uthata hai aashiyaan ghareeb ka,
Kabhi rehmat nazar kar inpe aur dulaar bhi de…
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…

Zindagi bhar ka ranj-o-fugaan de gaya qaatil
Khushfehmi hi sahi Koi mauka khushgawaar bhi de
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…


Baadakashon ko sataane lagi fikr-e-zindagi-o-dehshat
Soone maikhanon mein kuchh bada-khwaar bhi de…
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…


Thaki thaki si lad rahi hai lau meri toofaan se,
Javidaan noor de ujjwal aur iftikaar bhi de…
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…

Tab nahi socha tha (2011)

Jab tum thhe tab nahi socha tha
Lagta tha zindagi padee hai
Par ab lagta hai wahi ek mauka tha
Aaj maut deewar ban ke khadi hai

Kuchh baatein samjhaani thi
Tumhari galtiyaan bataani thi
Aur wo ladai jo adhuri reh gayi thi
Mera vaar baaki tha wo niptaani thi

Tab nahi socha tha par ab yaad aata hai
Maafi bhi maangni thi, gale lagaana tha
Tumahara janamdin jo ab bhi har saal aata hai
Kasam li thi ek saal pahaad pe manaana tha

Jab deewar par dekhta hun tasweer tumhaari
Aage jeevan bemaani sa lagta hai
Bheetar kahiin to jagah thi tumhaari
Seene mein ab khaali khaali sa lagta hai

--
On the untimely demise of a friend

Games of Cupid (2012)

You can hurt someone real bad
And still touch their heart

You wonder why those you loved
Are close yet so far apart

Some relationships get confused
You can’t tell when you are in and out

Every soul follows the same line
For there is no other route

Reasoning can win you a battle
It still can’t stop this rattle

Because logics don’t work for a pair
And those games of cupid are seldom fair…

Badala nahi hoon main

मैं, वो मैं, ना रहा, ना सही, पर बदला नहीं हूं मैं  जानेमन तू मेरा न सही  पर तुमसा नहीं हूं मैं  तेरी बात मेरी याद हो गई  पर गुजरा नहीं हूं म...

Other Popular Posts