Showing posts with label Mayeqada. Show all posts
Showing posts with label Mayeqada. Show all posts

Sunday, January 19, 2020

Maiqade ke log...(2013)

Aas pe jeene wale maiqade nahi jaaya karte
Maang kar peene wale maiqade nahi jaaya karte

Usska deed hi kaafi hai madahoshi ke liye
Aankh se peene wale mayqade nahi jaaya karte

Maiqade unnke liye jo zindagi thokar karein
Mar mar ke jeene wale maiqade nahi jaaya karte

Maiqade unnke liye jo ishq mein dhokha paaye
Pyaar ko samajhne wale maiqade nahi jaaya karte

Mere Saamne... (2013)

Theek se bhigaati bhi nahi aur jalne bhi nahi deti
Zulf ko yun jhatka na karo mere saamne…

Dhadkan thaamti bhi hai aur rukne bhi nahi deti
Parda rafta rafta na karo mere saamne…

Mayekashi chhodi hai par jaam ki izzat bhi hai
Pyaale aankhon ke chhalkaya na karo mere saamne

Ishq bhi hai aur tere aashiqon ka khayal bhi hai
Yun sajde kiya na karo mere saamne

Ghuroor hai to ghuroor kayam rakkho
Beparda khwaab mein aaya na karo mere saamne

Dil tadapta bhi hai aur ye tadapne bhi nahi deti
Aaj mujhko hi qatl karo mere saamne…

Friday, September 6, 2019

Aajkal...

Wo poochhein ke kyun peete ho har raat aajkal
Bujhaati hai kahan pyaas bhi barsaat aajkal...

Jo reh gayi thi kabhie hotho pe kaanp kar...
Charcha-e-khas-o-aam hai wo baat aajkal..

Ussko kab qubool thhe patjhad ke usool
Lihaaz-e-mausam zard hain wo shaakh aajkal

Shaqsiyat badal gayii ya qayamat qareeb hai...
Bohot lag rahe hain wo bebaaq aajkal

Dekha hai jawani mein betakalluffi ka daur
Magar bachche ho gaye hain gustakh aajkal


Agar achha lage to comment zaroor karein!

Muskura ke

मैं बिकने तो नहीं जाता हूं बाजार में। फिर भी वो खरीद लेती है मुस्कुरा के मुझे।। मैं दरवाज़ा ही नहीं खोलता हूं यादों की दस्तक पर  वो फिर भी र...

Other Popular Posts