Kya wo duniya ho jo suron ko saaz mile,
mehfil-e-awaaz-e-dil ho aur galon ko naaz mile…
Khud hi ki zid se kar liya hai khud ko dafan
Kabhi to aapki nazar ho aur hum ko saans mile
Ek wo jinse milke lagta hai ek aur baar mile
Aur ek wo jo roz milta hai mile na mile
Kabhi to besabab utthe dua mein haath besabab=without reason
Unhone khwaab bhi dekhe to unke hisaab mile
Bade hi josh se baitha hun aaj ibaadat mein
Mujhe to tu na mil saka tujhe to duaa mile
Bhatakte nahi kabhi mayeqada dhoondne wale mayeqada=bar
Jinhe khuda ki ho talash unhe to khuda mile
Kya ho gar furqat ke sataaye ko ahbaab mile ahbaab=friends
Jeene ka bhoole jo maqsad unhe asbaab mile asbaab=reasons
Dil mile ya mere ashaar se kisi ko qaraar mile
Kisi sataaye huye ushaaq ko uska sawaab mile
A potpourri of my original thoughts, ideas, and literary musings in English, Hindi, and Urdu.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Aap se
दिल की धड़कन का ठहरना और बढ़ना आपसे मेरी उल्फत का उतरना और चढ़ना आप से मन ही मन में जाने कब कब बातें आपसे हुई हो के अनबन रूठ जाना फिर सुलझ...
Other Popular Posts
-
Mein rakh aaya tha ek shaam tere darpe jo jhumke, Latakte the wo tere kaanon mein sifaarish banke Meine lagaa di thi ek keel uss khirkee...
-
My roomies and I are BIG fan of bollywood. Whenever there’s a new movie we are excited to watch it until sometimes the reviews are extraord...
-
Hey dude, Last time I wrote about importance of nourishing your roots. This time it would be around Money. For that's why you are leavi...
-
Theek se bhigaati bhi nahi aur jalne bhi nahi deti Zulf ko yun jhatka na karo mere saamne… Dhadkan thaamti bhi hai aur rukne bhi nahi de...
-
The odometer of my new bike reads seven thousand today. My new Yamaha FZ-16 is ten months old now but I still like to call it new. It’s bee...
-
Saath hain par jazbaat mein wo baat nahi aati, Roz-o-shab guzarte hain par wo raat nahi aati… Itna mushkil bhi nahi khuda se betaqalluf ...
-
Kal baitha tha kisi soch mein to teri yaad chali aayi… Mein khoon ko syaahi samjh ke likhta chala gaya… Log poochhenge kafan ke paas ye kaag...
No comments:
Post a Comment