Monday, May 28, 2007

Ishq hota nahi sabhi ke liye....

Zindagi chhoti si hai,Aur hain mushkilein anek
Do char hi ko to pyar kiya Wo bhi ek ke baad ek

Pehla pyar mera haseen tha gulfam ki tarah
Kuchh hi palon míen chalak gaya jaam ki tarah
Tez raftaar wo guzar gayi kisi aur ke saath
Mein dekhta reh gaya tang awam ki tarah

Fir doosri baar jab ho gaya ishq ka bukhaar
Wo dosti thi jo dheere dheere bani khumaar
Na wo kuchh keh saki na mein keh saka kuchh
Khoobsoorat hai wo rishta, hai aaj bhi barkaraar

Ab teesri baar fir ye aafat aayi hai…
Dil ki surkhi fir rang laayi hai
Uski nigaaahien uff shokh hain haseen hain
Khuda jaane kya shaamat aayi hai

Har tarah iss dil ko manaa ke dekha
Sab dhokha hai ye samjha ke dekha
Fir bhi na maane to kya kijiye…
Bas usko hi chaahe to kya kijiye…

Dekhte hain ye rangat kya rang laati hai
Kitna suljha paata hun aur kitni ulajh jaati hai
Kehne ko to keh doon mein alfaaz dil ke par
kitna mein keh pata hun kitna wo samajh paati hai

Zindagi chhoti si hai,Aur hain mushkilein anek
Do char ko hi to pyar kiya Wo bhi ek ke baad ek

Log sochte hain mujhe pyar hai..

Ek baat se nahi ho jaati dastaan shuru
Har ashhar ke liye kayi waaqayon ka asar lagta hai...

Tum na samjho ye dard sirf mere apne hain…
Banda shayar hai kayamat ki nazar rakhta hai..

Badala nahi hoon main

मैं, वो मैं, ना रहा, ना सही, पर बदला नहीं हूं मैं  जानेमन तू मेरा न सही  पर तुमसा नहीं हूं मैं  तेरी बात मेरी याद हो गई  पर गुजरा नहीं हूं म...

Other Popular Posts