Monday, October 30, 2023

Kamm hi hoti hai


Labon ki baat hai keh do, nigahon se mat samjhaao
Dar se laut jaane walon ki khabar kamm hi hoti hai

Baad mein mat poochhna ki phool kahaan rakhne hain
Har roz jalne walon ki Qabar kamm hi hoti hai

Pyaar karne walon ko nahi araam shab-o-roz
Aag pe chalne walon ko sabar kamm hi hoti hai

Aashiq kahan kiya karte hain maut ki bhi izzat...
Baar baar aane walon ki Kadar kamm hi hoti hai...

No comments:

Badala nahi hoon main

मैं, वो मैं, ना रहा, ना सही, पर बदला नहीं हूं मैं  जानेमन तू मेरा न सही  पर तुमसा नहीं हूं मैं  तेरी बात मेरी याद हो गई  पर गुजरा नहीं हूं म...

Other Popular Posts