Showing posts with label Shayari. Show all posts
Showing posts with label Shayari. Show all posts

Monday, October 30, 2023

Kamm hi hoti hai


Labon ki baat hai keh do, nigahon se mat samjhaao
Dar se laut jaane walon ki khabar kamm hi hoti hai

Baad mein mat poochhna ki phool kahaan rakhne hain
Har roz jalne walon ki Qabar kamm hi hoti hai

Pyaar karne walon ko nahi araam shab-o-roz
Aag pe chalne walon ko sabar kamm hi hoti hai

Aashiq kahan kiya karte hain maut ki bhi izzat...
Baar baar aane walon ki Kadar kamm hi hoti hai...

Jirah


Ya to rukhsat mein tabeez koi pehnaaya na karo
Ya to bandh lo mujhe aanchal se sadaa ke liye

Khatm kar do ke mein tayyar hun kaza ke liye
Aise bazaar mein na chhor do sazaa ke liye

Irada kar liya hai to qatl kar do jirah na karo
Meri khuddari kya kamm hai wajaah ke liye

Yaan soorat ke saath seerat ke bhi hain khareeddaar
Kiski Keemat munasib hai tumhari jazaa ke liye

Shauk bade hain tumhare tasweer se kya hoga
Sar hi rakh lo kaam aayega azaa ke liye

Wo nigah se nahi nikla ab tak


ये कैसा पूछ रहे हो सवाल, ये क्या बात करते हो?
वो निगाह से नहीं निकला अब तक
तुम दिल की बात करते हो


आज भी लगता है मेरे सामने है वो मंज़र गुजरता हुआ
मैं आज भी राह ढूंढता हूं तुम मंजिल की बात करते हो।


हर सांस उधार लगती है तेरे बिछड़ जाने के बाद
एक हो तो बताएं जो तुम मुश्किल की बात करते हो


कितने अंजान हैं दैर–ओ–हरम में लोग, चलो मयकदा ढूंढे।
या कोई जगह बता दो जहां लोग दिल की बात करते हो


भूल न जाऊंगा चार के बीच मैं उनकी बातें
मैं तन्हाई मांगता हूं तुम महफिल की बात करते हो


धुंध बहुत है कोई शख्स नजर नहीं आता ठीक से
चेहरे नजर नहीं आते ठीक से तुम जिल (साये) की बात करते हो


बोहोत सुकून है यादों की स्याह शुआओं में
मुझे माज़ी में रहने दो कहां मुस्तकबिल की बात करते हो

Tuesday, August 11, 2020

Naya saal... (2010)

Duniya ke itihaas mein ek aur kadi jud jayegi,
Insaan nahi badlega aur tareeq badal jayegi…

Yahaan koi aashiq thaam lega paimaane ko,
Wahaan fir kisi sitamgar ki doli guzar jayegi…

Waqt hota to karte bhi shikayat tumse,
Lagta hai ye gila bhi chita ke saath jal jayegi…

Khuda ne teri kudrat hi aisi banayi hai,
Dhuaa wahan uthega teri hasti jidhar jayegi…

Dard hi to apna hai isse bhulaana kyun hai,
Yaad phoolon ki tarah rakhoge to zindagi mehak jayegi…

Talaash

Raah khud hi chun leti hai musafir apna…
Yuhi taa-umra raah par koi khada nahi hota

Bewafai de jaati hai muflisi aur tanhai
Ashiq jalta rehta hai par dhuaan nahi hota

Yadein bhi ban jaati hain khud saaki…
Maikade mein koi kabhi tanha nahi hota.

Zamaane mein hi mil jaati hai khudayi
Khuda ho kar bhi jab khuda nahi hota

Yaari hoti hai zamaane se juda yaroon
Wo door ho kar bhi juda nahi hota

Jo Dairo haram me aur maikade me hai ujjwal
Bashar taaumra khojta hai usse pata nahi hota

Dua mile... (2013)

Kya wo duniya ho jo suron ko saaz mile,
mehfil-e-awaaz-e-dil ho aur galon ko naaz mile…
Khud hi ki zid se kar liya hai khud ko dafan
Kabhi to aapki nazar ho aur hum ko saans mile

Ek wo jinse milke lagta hai ek aur baar mile
Aur ek wo jo roz milta hai mile na mile
Kabhi to besabab utthe dua mein haath                     besabab=without reason
Unhone khwaab bhi dekhe to unke hisaab mile

Bade hi josh se baitha hun aaj ibaadat mein
Mujhe to tu na mil saka tujhe to duaa mile
Bhatakte nahi kabhi mayeqada dhoondne wale          mayeqada=bar
Jinhe khuda ki ho talash unhe to khuda mile

Kya ho gar furqat ke sataaye ko ahbaab mile              ahbaab=friends
Jeene ka bhoole jo maqsad unhe asbaab mile              asbaab=reasons
Dil mile ya mere ashaar se kisi ko qaraar mile
Kisi sataaye huye ushaaq ko uska sawaab mile

Muntazir ki dua (2011)

Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de,
Khushk gulistaan mein kabhi bahaar bhi de…

Khwaishein panapti rehti hai musalsal zehen mein
Agar aarzoo deta hai tu to deedaar bhi de
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…


Har sheh pe jal uthata hai aashiyaan ghareeb ka,
Kabhi rehmat nazar kar inpe aur dulaar bhi de…
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…

Zindagi bhar ka ranj-o-fugaan de gaya qaatil
Khushfehmi hi sahi Koi mauka khushgawaar bhi de
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…


Baadakashon ko sataane lagi fikr-e-zindagi-o-dehshat
Soone maikhanon mein kuchh bada-khwaar bhi de…
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…


Thaki thaki si lad rahi hai lau meri toofaan se,
Javidaan noor de ujjwal aur iftikaar bhi de…
Mere maula muntazir ko thoda qaraar bhi de…

Saturday, April 11, 2020

Meri Shareek-e-hayaat....

Teri aankhon se hai raat ki syaahi
Tere rang se hain ujaale din ke ...

Tere hone se hai ye ghar ki Ruanak
Warna need hai jisme hazaron tinke

Teri hasee se hai haseen raatein meri
Meine dekhe the kabhi khwaab jin ke

Zindagi ki dhoop jagaati hai jo pyaas
Poori ho jaati hai teri awaaz sun ke

Meri mohabbat ka kuchh hisaab na maang
Kabhi dekh lena raat mein tare gin ke...




Saturday, April 4, 2020

Azmaa ke dekhna...

Yun akele chalne se to milti nahi manzil,
Kabhi dil kare to haath badha ke dekhna...

Shayad khada ho koi dil le ke raah mein,
Tum manzil se nazar hataa ke dekhna...

Anjaan raston se hi to maza hai safar ka,
Apni kismet ko kabhi aazma ke dekhna...

Dil lag jaaye to dil lagaa ke dekhna
Ishq ho jaaye to ishq jataa ke dekhna

Rakhe hain taa-umra phoonk phoonk ke qadam,
Kabhi bekhudi ka lutfa utha ke dekhna


Saturday, March 21, 2020

Baarish bann kar

Mein rakh aaya tha ek shaam tere darpe jo jhumke,
Latakte the wo tere kaanon mein sifaarish banke

Meine lagaa di thi ek keel uss khirkee ke pass,
Jahaan ataki hai sau baar teri chunni guzaarish banke

Teri hayaa ke aage kitne phoolon ne dam toda hai,
Kitni baar dabe hain teri kitaabon mein khwahish banke

Jab haath thaama tha hamesha ke liye kahaan socha tha,
Unn ki lakeerein aa jaayengi beech mein saazish banke

Ya Mausam bheega hai, Ya aankhon mein nami hai,
Koi laut aaya hai sheher mein baarish banke...

Achchi lage to comment zaroor karein!

Saturday, March 14, 2020

Umeed-o-Yaas (2011)

Aisa na ho chaak ye seene se bhi gehra nikale,
Jise ret ka sahil samjha wo sehra nikle...

Ya hum rahein apne hi ishq ki lau ke kayal
Aur wahan unns ki kehkashaan nikale...

Kisko maalum hai maraasim mera tumhara
Aarzi ulfat nikle ya chahat ki dastaan nikale...

Yun lagaa li hai kaleje se ye pechidaa uljhan
Kab deed-o-guftaar ho to koi raasta nikle...

Sunday, March 8, 2020

Puraane Chiraag

Ye kisne puraane chirag roshan kiye
Deewar pe fir kuchh saaye nazar aate hain

Maazi ki kitaab mein dabe sookhe gulaab
Chaand ki roshni mein surkh nazar aate hain

Kuchh yaadein mehka jaati hain zehen ko
Kuchh kirdaar tasweer se nikal aate hain

Nazar Nazar se kar leti thi dil ki baatein
Aariz-o-lab yuhiin guzarish mein nikhar aate hain

Jab se band kiya hai sitaron ko takna
Aaj bhi jugnu ban ke din mein nikal aate hain

Mere chashm ko hai teri talab itni…
Ashq khud hi teri talaash mein nikal aate hain

Chhoot jaate hain humsafar kuchh peechhe …
Fir zindagi mein kabhi wo aage nazar aate hain…


Agar achhi lage to comment zaroor karein!

Baadal ... (2013)

--
rewritten

Judte hain, bichhadte hain, baras jaate hain,
Chalo hum koi baadal bann jaate hain...

Girte hain, sambhalte hain, chhalak jaate hain
Chalo hum maye ka sagar bann jaate hain

Haste hain, rote hain, Tadap jaate hain
Chalo hum koi pagal bann jaate hain

Tapte hain, jhulaste hain, pighal jaate hain
Chalo hum maa ka aanchal bann jaate hain

--
original 

Judte hain bichhadte hain baras jaate hain,
Chalo hum koi badal bann jaate hain…

Raat bhar dekha karein aankhon mein jaam,
Bin piye jhoomein pagal bann jaate hain

Saath mil ke chalein judaa rahon par
Kisi dariya ka saahil bann jaate hain

Ghum ka paimaane se kar lein hisaab
Bazm-e-maye ka saagar bann jaate hain

Muskurahatein sooni hain aankhein hain namm
Chalo hum maa ka aanchal bann jaate hain…




Pal do pal ke rishte ... (2006)

Ae khuda tu apne bando ko sataata kyun hai
Ek pal ke liye hi deni hai khushi to hasaata kyun hai

Jin rishton ka astitva ho nahi sakta
Un rishton ko parvaan chadhaata kyun hai

Jo saathi bichhar jaenge agle mod pe
Saari raah fir unse milaata kyun hai

Kuchh kar nahi sakta to khuda kehlata kyun hai
Aisi hi banani thi duniya to banaata kyun hai


Saturday, March 7, 2020

Gar apna sheher hota...

Jaane kab uthega unnke rukh se parda...
Hawaon se karwa dete gar apna sheher hota...

Benoor lag rahi hai har mehfil tere bin...
Hum chaand tangwa dete gar apna sheher hota...

Mayeqade to hain yahan bhi wahan bhi thhe..
Chand log nazar aate gar apna sheher hota

Ghir hi jaate hain sukhan bheed se har sheher mein
Tum tab bhi yaad aate gar apna sheher hota...

Aur bhi hain... (2015)

Mein ye soch kar baitha raha tanhayi mein
Mehfil mein mujhse behtar jawaan aur bhi hain

Sochta tha tumhe chand sitaron tak le chaloon...
Suna hai sitaron ke aage jahan aur bhi hain...

Lagta tha kuchh hi to hain armaan baaqi
Kehte hain yahan hi nahin wahan aur bhi hain...

Ek khat jalaa ke wo karta hai mujhe bhoolne ki koshish...
Meri shayari ke bazaar mein deewaan aur bhi hain...

Ujjwal ek lutee huyi mehfil ka ghum na kar
Chal hajj pe jaane wale kaarwaan aur bhi hain

Friday, March 6, 2020

Kamm hi hoti hai... (2020)

Labon ki baat hai, keh do, nigahon se mat samjhaao
Dar se laut jaane walon ki khabar kamm hi hoti hai

Baad mein mat poochhna ki phool kahaan rakhne hain
Har roz jalne walon ki Qabr kamm hi hoti hai

Pyaar karne walon ko nahi araam shab-o-roz
Aag pe chalne walon ko sabr kamm hi hoti hai

Aashiq kahan kiya karte hain maut ki bhi izzat...
Baar baar aane walon ki Kadr kamm hi hoti hai...

Kos ke thoda ro lena... (2011)

Aaj fir waada tha milne ka ussi jagah,
Aaj fir wo gulaab zulfon mein piro lena

Aaj fir milne aana chhup chhup ke mujhse
Aaj fir mujhe apni baahon mein dubo lena

Aaj fir chaha tha tumhari shiqayat door karna,
Aaj fir apni chaahat mein tumko bheego lena...

Aaj fir mein bejhijhak tumko dekhta rahun,
Aaj fir tum meri nigaahon mein kho lena...

Aaj fir chalna mere saath sunsaan raaston par
Aaj fir mere kaandhe pe sar rakh ke so lena

Aaj fir socha tha poore karunga kuchh sapne
Aaj fir tumhe khushi ke aansuo mein bhigo dena

Aaj fir mein wada nahi nibha paaya
Aaj fir mujhe kos ke thoda ro lena...


Sunday, January 19, 2020

Puchka...

Aaj zindagi yun khaali si naa Hoti 
Wo nazrein agar mila leti uss roz

Kahiin ek pyaas hai, jo ab nahi bujhegi
Apne haathon se puchka khila deti uss roz

Ek toofan zinda hai, andar hi khoya hua  
Wo qatra jo aankhon se baha leti uss roz

Bina iraade kaandhe pe haath rakh diya tha
Kaash wo mera haath hata deti uss roz 

Jaane kaunsa waada usski palko pe tha
Warna wo palkein uthha leti uss roz 

Aaj zindagi yun khaali si naa Hoti 
Wo nazrein agar mila leti uss roz

Kyun ho...(2011)

Nahi sochti wo mere baare mein kabhi
Jo haqeeqat na hua wo khayal bhi kyun ho...

Kyun na choom le do pal maye ke sagar ko
Wo jee na sakaa par halaal bhi kyun ho...

Kyun na dhoond loon mein khushiyaan nayi...
Jo judaa hua usska malaal bhi kyun ho...

Badee zameen thi teri ya mera aasmaa kam tha,
Jo ho gaya uss par sawal bhi kyun ho...

Masroofiyat

मैं दो लम्हे मांगने गया था जिससे  वो वक्त का हिसाब लगाने में मसरूफ था  वो चाहता रहा फुर्सत के दो पल और जिंदगी भर पैसा कमाने  में मसरूफ था  ज...

Other Popular Posts