Saturday, March 21, 2020

Baarish bann kar

Mein rakh aaya tha ek shaam tere darpe jo jhumke,
Latakte the wo tere kaanon mein sifaarish banke

Meine lagaa di thi ek keel uss khirkee ke pass,
Jahaan ataki hai sau baar teri chunni guzaarish banke

Teri hayaa ke aage kitne phoolon ne dam toda hai,
Kitni baar dabe hain teri kitaabon mein khwahish banke

Jab haath thaama tha hamesha ke liye kahaan socha tha,
Unn ki lakeerein aa jaayengi beech mein saazish banke

Ya Mausam bheega hai, Ya aankhon mein nami hai,
Koi laut aaya hai sheher mein baarish banke...

Achchi lage to comment zaroor karein!

2 comments:

nitin said...

Fb pe sirf keel wali line padh ke to chichora samajh rahe the hum but this is next level.

Ujjwal Trivedi said...

Haha! Thanks.

Badala nahi hoon main

मैं, वो मैं, ना रहा, ना सही, पर बदला नहीं हूं मैं  जानेमन तू मेरा न सही  पर तुमसा नहीं हूं मैं  तेरी बात मेरी याद हो गई  पर गुजरा नहीं हूं म...

Other Popular Posts