Tuesday, November 19, 2019

Mom ki gudiya


Mom ki gudiya mein jaan utar aati hai
Meri bachhi jab usse seene se lagaati hai  
Bass chalta to gudiya phir se jaag ke so jaati 
Wo jitne pyaar se usse loriyaan sunaati hai

Usska jeewan usski paribhasha se chalta hai
Usska din usske sone jaagne se badalta hai
Chaand aata hai balcony mein usske liye 
Sooraj usske maathe ki bindi se jalta hai 

Kabootar ko gutar goo koyal ko raag sikhati hai 
Qabaad ke chaar samaan jod ke ghar banaati hai
Ussko kya sikhaayein koi rangbaazi ki kala
Geeli ungaliyan pher ke wo indradhanush banati hai


Mom ki gudiya mein jaan utar aati hai
Meri bachhi jab usse seene se lagaati hai  


Achha lage to comment zaroor karein!

Friday, September 6, 2019

Khushgumaani...

Usse ye gumaan hai ke wo girte girte sambhal leta hai
Naye libaas pehna kar mujhe badal leta hai 

Wo jaanta hai mein badnaam hun sheher mein
Fir bhi mujhe mehfil mein le jaa ke behel leta hai 

Mujhse kehta hai kisi ko moo kaise dikhaoge... 
Jo kahiin jaane se pehle mujhse shakal leta hai 

Wo kya paega aur kya khoega kisi ko
Jo andhere mein parchhayi chhod ke nikal leta hai 

Agar Achha lage to comment zaroor karein!

Teri berukhi...

Aur kya umeed thi tumhe dil-e-bezaar se...
Wo ek sheeshi aur le aaya bazaar se...

Meri nigaah mein bhi dhundhte hain tasweer apni...
Badee mohabbat hai unhe apne rukhsaar se...

Shauk rakhne wale mehfil mein daad diya karte hain
Samajhne wale dekha karte hain nam absaar se

Goya khuda soorat ke saath thodi samajh deta
Mohabbat ho jaati unnko mere kisi ashaar se

Kehte nahi par kabhi kabhi umeed rakhte hain
Thoda maye se thoda saaqi se thoda ghumgusaar se


Agar achha lage to comment zaroor karein!

Usska naam!

Khudaa maaf kare mujhe bhi meri zaat ko bhi...
Ashiqon ko jachta nahi zehen mein kisi aur ka naam

Tere aane se mujhe ulfat ka ehsaas hua
Warna ishq ko mein samajhta tha kisi aur ka kaam

Dariyaa dili dekho mayekade ki masti mein
Kisi ki nigaah mein nahi rehta kisi aur ka jaam

Insaan ko shauk hai sarhadein qayam karne ka
Yahan mera raam wahan kisi aur ka raam

Kya mila najoomi bann ke tujhko ujjwal
Haseena haath thama ke poochhe kisi aur ka naam


Agar achha lage to comment zaroor karein!

Agle baras...

Ab tak bohot kuchh khoya hai, paaya hai
Samay ne apne hisaab se chalaya hai

Khoob jiya saath sabke aur akele bhi
Dekhi khushiyaan rishton ki aur jhamele bhi

Kayi baar khud hi khud ko aazmaaya
Bohot kuchh zindagi ne bhi sikhaya  

Fir ek saal beet gaya zindagi ki udherbun mein
Haste gaate apni purani tarannum mein

Magar iss saal ek nayi dhun se mulaaqaat hui
Naye suron se haseen din raat hui

Dekhein tanhaayi ki aadatein kab chhut paati hai
Nayi zindagi kya naye rang dikhlaati hai

Kisko pataa aage kya hoga kiska haal
Bass beet jaaye kisi tarah ye aur saal

Suna hai agle baras kuchh aur baat hogi
Suna hai agle baras wo bhi saath hogi...


Agar acchhi lage to comment zaroor karein!

Ye dooriyaan

Chaand pe langar daal ke teri chhat pe aaya hota
Jo ghar apna is qadar door na basaaya hota

Chittiyaan likh kar kabootar se bhijwaya hota
Jo kismet ki girri mein dhaga kamm na paaya hota

Ban ke baadal tujhe ji bhar bhigaya hota
Jo hawa na chalti aur tere ghar pe chhaya hota

Wo seep beh ke tere kadamo tak aaya hota
Waqt ne moti gar mere seene mein chhupaya hota

Meri dhadkanon mein apni aahat ko paya hota
Kuchh der aur jo mujhe seene se lagaya hota


Agar acchhi lage to comment zaroor karein!

Yaar kuchh aisa kaho aaj...

Kuchh aisa kaho mere yaar ki kuchh baaki na rahe
Na muskaan koi reh jaaye koi aansoo baaki na rahe
Kal ye na ho kuchh reha jaaye kehna sunna
Tez chalti hai, kal kya pata, saans kuchh baaki na rahe

Keh do kuchh nayi puraani kachchi pakki baat
Dil se nikali dimaag mein ulajhtii baat
Baat phoolon ki aur mausam ki duniyadaari ki
Rangon mein lipti sapno mein mitati baat

Baat jab maikade mein chhide to koi saaqi na rahe
Koi ghalib na rahe, koi faraaz koi meer taaqi na rahe
Baat toofaan ho aur charagon ko bhi jalaaye rakkhe
Baat mein aisee ho baat ke baat kuchh baaki na rahe

Kuchh aisa kaho mere yaar ki kuchh baaki na rahe


Agar Achha Lage to Comment Zaroor Karein...

Aajkal...

Wo poochhein ke kyun peete ho har raat aajkal
Bujhaati hai kahan pyaas bhi barsaat aajkal...

Jo reh gayi thi kabhie hotho pe kaanp kar...
Charcha-e-khas-o-aam hai wo baat aajkal..

Ussko kab qubool thhe patjhad ke usool
Lihaaz-e-mausam zard hain wo shaakh aajkal

Shaqsiyat badal gayii ya qayamat qareeb hai...
Bohot lag rahe hain wo bebaaq aajkal

Dekha hai jawani mein betakalluffi ka daur
Magar bachche ho gaye hain gustakh aajkal


Agar achha lage to comment zaroor karein!

Tera khayaal...

Yun tera rooth jaana bhi adaa ho gaya
Haathon ka takraana bhi sadaa ho gaya
Kya mastii-e-idaraak-e-junoon deed ka
Wo jahan mil gaye maiqadaa ho gaya

Har baar yun mar ke jeena khuu ho gaya
Saanson ki ye haraarat bhi tu ho gaya
Nabz jaan ke sookha chehra haqeem ka
Duaaon ka silsila bhi shuru ho gaya

Gaahe gaahe manzilon ka mayena kho gaya
Gaahe gaahe mein tera tu mera ho gaya
Be-mauke chale aana wo tere khayal ka
Hum jahaan chal pade raasta ho gaya 



Accha lage to comment zaroor karein!

Aaj fir...

Aaj fir mili nigahein unse se aur fir pyaar ho gaya,
Badh gayiin dhadkanein aur dil beqaraar ho gaya,

Wo aaye hain mehfil mein kisi aur ke liye,
Fir bhi unnki nawa ka intezaar ho gaya...

Fir laga aaj ki koi to baat hui humaare beech,
Fir usske ishaare ka gumaan ho gaya...

Fir sulag pade armaan unnhe paane ke,
Fir dil aatish-e-pinaah ka shiqaar ho gaya...

Badi mushqilaat se qaid kiya tha zehen ko,
Aaj mauka mila to kambakht faraar ho gaya,

Sochta tha dil-e-barbaad mein bacha kya hai,
Rooh se fir koyi qatra tapka aur ashaar ho gaya,

Zindagi mukhtasar hai aur pyaar mustaqil,
Ujjwal bass issi khushfehmi pe nisaar ho gaya...


Achhi lage to comment zaroor karein!

Nahi badli ...

Wo adaa, wo nazar unnki, wo nazakat nahi badli
Zindagi badli par taghaaful ki aadat nahi badli

Aaj bhi wo mauka nahi chookte tadpaane ka
Kabhi lagta hai badli wo kabhi bilkul nahi badli

Rut badli par meri chahat ki fiza nahi badli
Badee koshish se bhi marasim ki khiza nahi badli

Sookhe darkhton ko bhi aadat hai qayam rehne ki
Aaj bhi purnam chashm se nahi barasti wo badli
* taghaaful - deliberate, negligence, carelessness
* maraasim - relationship
* khiza - fall, autumn
* purnam-chashm - moist eyes       


Achhi lage to comment zaroor karein!

Badala nahi hoon main

मैं, वो मैं, ना रहा, ना सही, पर बदला नहीं हूं मैं  जानेमन तू मेरा न सही  पर तुमसा नहीं हूं मैं  तेरी बात मेरी याद हो गई  पर गुजरा नहीं हूं म...

Other Popular Posts