Sunday, January 19, 2020

Kahiin aur (2011)

Mann nahi lagta mera ab iss shahar mein
Nasheb-e-faraaz mujhe kahiin aur le chal… Nasheb-e-Faraaz = Wheel of fortune, Ups and downs of life

Sukoon-e-gor hai iss aabshaar mein
Dil-e-naaraz mujhe kahiin aur le chal ...Gor = Grave; aabshaar = Waterfall

Kab se talabhgar hun masjid ki qataar mein
Ae fitna-pardaaz mujhe kahiin aur le chal talabhgar = longing ; fitna-pardaaz = mischievous, evil

Apni hi shakl dikhti hai beaab aaino mein
Ae aainasaaz mujhe kahiin aur le chal ...Aainasaaz = Mirror Maker, God

Naseem nahayi na ho jahan usske nakhat mein ...Naseem = fragrant breeze ;
Go Gesoo-daraaz mujhe kahiin aur le chal ...Nakhat = odour ; Gesoo-daraaz = long haired, beloved

Na kaafiri mein josh raha na sukoon taqwaa mein
Ae dast-daraaz mujhe kahiin aur le chal ...taqwaa = fear of god ; dast-daraaz = oppressor

Na jannat ke layak huye na jaenge dozakh mein
Mere banda-nawaaz mujhe kahiin aur le chal… ...dozakh = hell, Banda-nawaaz = Patron, God

No comments:

Aisa kuchh nahi

ऐसा कुछ नहीं है हम छुपायें क्या  कोई पूछे ही नहीं है हम बताएं क्या शिकवा क्या करें, सवाल करें कैसे  वो वक्त का मारा है उसे सताएं क्या उसके ह...

Other Popular Posts