Khushk ankhon mein bheegi huyi chamak chhor jaati hai
Wo jab milti hai mere haathon mein mehek chhor jaati hai
Kyon na dekha karein hum jaag ke chaand ko raat bhar
Wo sawarti hai to chand pe apni jhalak chhor jaati hai
Kabhi bujhaati hai nazar se chashm-e-dil ki pyaas
Kabhi labon pe aag ki si dhadhak chhor jaati hai
Humko maloom hai waqt ka faasla humare beech
Aise bichharti hai ki jaldi milne ki kasak chhod jaati hai
Nahi kehti hai kya hoga agli mulaqaat ka bahaana
Jaate jaate fir jhumke ki latak chhod jaati hai

No comments:
Post a Comment