Sunday, January 19, 2020

Bechaiini

Wo aayenge mehfil mein yakeen hai magar
Saanson par apni bharosa nahi mujhe
Aane wale pal ka to ilm hai magar *ilm - knowledge
Maazi par apne bharosa nahi mujhe… *maazi - past

Yuun der karna adaa hai unnki magar,
Ye raaton ka safar bhi jachta nahi mujhe
Unnhe to aadat hai mukarr jaane ki magar
Har baar ye khel bhi jamta nahi mujhe…

Unnse milkar bhi sukoon aata nahi magar
Bina deed ke bhi chain milta nahi mujhe
Unhe wafa nahi mujhse ye pata hai magar
Ye ilm bhi ya khuda kyun badalta nahi mujhe…

No comments:

Aisa kuchh nahi

ऐसा कुछ नहीं है हम छुपायें क्या  कोई पूछे ही नहीं है हम बताएं क्या शिकवा क्या करें, सवाल करें कैसे  वो वक्त का मारा है उसे सताएं क्या उसके ह...

Other Popular Posts