Sunday, January 19, 2020

Ye Sardiyaan... (Dec 2010)

Ye sardiyaan yun sard na hoti
Tum hoti to zindagi zard na hoti                    *zard – pale, yellow

Sookhe patton ki tarah behek jaata hun
Thodi si aanch mein dehek jaata hun

Kabhi milta tumse kabhi judaa hota
Apnaa naam bhi kisi ped par khuda hota

Haste haste jo apni nigaah milti
Meri shayari ko kisi dil mein panaah milti

Teri har nasamjhi pe muskuraana padta
Kabhi apni baaton ka matlab samjhaana padta

Rang hote apni zindagi mein koi baat hoti
Mein khul ke ro sakta jo tum saath hoti

Zulf mein ulajhti hassi mein bayaan hoti
Meri kismat teri muskuraahat mein ayaan hoti            *ayaan -evident

Ye sardiyaan yun sard na hoti
Tum hoti to zindagi zard na hoti…

No comments:

Aisa kuchh nahi

ऐसा कुछ नहीं है हम छुपायें क्या  कोई पूछे ही नहीं है हम बताएं क्या शिकवा क्या करें, सवाल करें कैसे  वो वक्त का मारा है उसे सताएं क्या उसके ह...

Other Popular Posts