Sunday, March 8, 2020

Baadal ... (2013)

--
rewritten

Judte hain, bichhadte hain, baras jaate hain,
Chalo hum koi baadal bann jaate hain...

Girte hain, sambhalte hain, chhalak jaate hain
Chalo hum maye ka sagar bann jaate hain

Haste hain, rote hain, Tadap jaate hain
Chalo hum koi pagal bann jaate hain

Tapte hain, jhulaste hain, pighal jaate hain
Chalo hum maa ka aanchal bann jaate hain

--
original 

Judte hain bichhadte hain baras jaate hain,
Chalo hum koi badal bann jaate hain…

Raat bhar dekha karein aankhon mein jaam,
Bin piye jhoomein pagal bann jaate hain

Saath mil ke chalein judaa rahon par
Kisi dariya ka saahil bann jaate hain

Ghum ka paimaane se kar lein hisaab
Bazm-e-maye ka saagar bann jaate hain

Muskurahatein sooni hain aankhein hain namm
Chalo hum maa ka aanchal bann jaate hain…




No comments:

Aisa kuchh nahi

ऐसा कुछ नहीं है हम छुपायें क्या  कोई पूछे ही नहीं है हम बताएं क्या शिकवा क्या करें, सवाल करें कैसे  वो वक्त का मारा है उसे सताएं क्या उसके ह...

Other Popular Posts