Sunday, March 8, 2020

Puraane Chiraag

Ye kisne puraane chirag roshan kiye
Deewar pe fir kuchh saaye nazar aate hain

Maazi ki kitaab mein dabe sookhe gulaab
Chaand ki roshni mein surkh nazar aate hain

Kuchh yaadein mehka jaati hain zehen ko
Kuchh kirdaar tasweer se nikal aate hain

Nazar Nazar se kar leti thi dil ki baatein
Aariz-o-lab yuhiin guzarish mein nikhar aate hain

Jab se band kiya hai sitaron ko takna
Aaj bhi jugnu ban ke din mein nikal aate hain

Mere chashm ko hai teri talab itni…
Ashq khud hi teri talaash mein nikal aate hain

Chhoot jaate hain humsafar kuchh peechhe …
Fir zindagi mein kabhi wo aage nazar aate hain…


Agar achhi lage to comment zaroor karein!

No comments:

Aisa kuchh nahi

ऐसा कुछ नहीं है हम छुपायें क्या  कोई पूछे ही नहीं है हम बताएं क्या शिकवा क्या करें, सवाल करें कैसे  वो वक्त का मारा है उसे सताएं क्या उसके ह...

Other Popular Posts